Aradhana

 

HE SATYA PURUSH!
Aap Ki Hi Sat Se Sarwa Jadh Chaitanya Stheet Hai.
Sabke Jeewan Aap Hi Ho.
Aap Ke Ati-Rikta Jo Kuchh Gupta Pargat Hai,
Naashmaan, Asatya Aur Anitya Hai,
Ek Aaphi Satya Aur Awinashi Ho.

HE SAT SUKRIT!
Aap Ke Ati-Rikta Jitni Kirti Hain
Sab Kshanik Aur Maayik Hai.
Sab Kirti Aapke Ati-Rikta Kaal Ne Rache Hai
Aur Kaal Swayam Naash Hone Wala Hai
Is Kaaren Aap Ki Hi Kirti Satya Aur Nitya Hai.

HE AADI ADLI!
Aap Ka Hi Neeyam Satya Aur Sukhdaayak Hai,
Aap Ka Hi Neeyam Sarwa Se Purwa Prakaashit Hota Hai.
Usi Ke Sahare Satya Anand Ki Praapti Hoti Hai.

HE AJAR!
Aap Ko Jara Nahin Hai
Arthaat Aap Janma, Maran
Aur Uske Madhya Ki Baal Kishore,
Yuwa, Praudh Aur Wridh Awastha Se Pare
Sada Ek Samaan Hi Rahne Wale Hain.

HE AMAR!
Aap Kaal Ke Jaal Se Chhura Kar
Apne Hanso Ke Amar Karte Ho.
Swayam Kaal Bhi Aap Se Bhay Karta Hai.

HE ACHINT!
Aap Shudh Anand Swaroop Ho,
Chinta Ka Aap Se Koi Sambandh Nahin,
Tathapi Hum Jaise Deeno Ki
Sahaaita Ki Chinta Aap Sada Hi Karte Ho.

HE PURUSH!
Aap Yadya Pi Sarwatra Ek Samaan Sthit Ho
Tatha Pi Sachche Sant, Sachche Bhakta,
Sachche Hans Aur Sachche Paarkhiyon Ke Hriday Mein
Aap Ka Wishesh Prakash Pragat Hota Hai.

HE MUNINDRA!
Satya Sukrit Swaroop Se
Aap Sadachaar Ka Updesh Dekar
Munindra Swaroop Se Satya Asatya
Saar Asaar Ke Manan Ka Maarg Batate Ho.
Anek Prakaar Ke Manan Karne Par Bhi
Jab Yah Jeew Kaal Ke Jaal Se Nahin Nikal Sakta,
Tab Aap Karunamay Swaroop Se
Paarakh Ka Maarg Batlane Ko
Taksaar Ki Prawriti Karate Ho
Aur Jab Taksaar Duara
Antah Karan Shudh Ho Jata Hai
Tab Aap Saakshaat Satya Kabir Ke Swaroop Se
Pratyaksh Paarakh Batla Kar
Kaal Jaal Se Chhura Dete Ho.

HE BANDICHHOR!
Aap Baarambaar Kehte Ho
Pukaar Pukaar Kar Batlaate Ho Ki,
Tumhari Sharan Bina
Hamara Thikana Kahin Bhi Nahin Hai,
Jis Samay Aap Ka Sharan Praapt Hota Hai
Usi Samay Kaal Se Tinka Toot Jata Hai
Aisi Sarwa Sukhdayee Sharan Ko Bhi Paakar Ho

HE ADHAM UDHARAN!
Hum Aise Adham Hain
Ki Aap Ka Sharan Nahin Pakarte
Baran Kewal Mukh Se Baaten Banaakar
Dambh Se Apne Ko
Aap Ka Daas Kahte Kahlate Hain
Parantu Daasen Ke Niyam Tak Nahin Jaante.

HE DINANATH!
Aap Hi Sab Ke Sahayak Ho. Hum Deen Aur
Anaath Hain. Jinko Naath Karke Pakarte Hain
We Sabhi Swayam Aap Ke Sharan Ki Abhilasha
Rakhte Hain. Is Karen He Prabhu
Aaphi Satyanaath Ho, Aap Ko Chhor Kahan Jaoon.

HE GYAAN-MAI CHAITANYA PURUSH!
Aap Ke Hi Astitwa Se Sarwa Jarh
Chaitanya Bhaasmaan Ho Raha Hai,
Sab Hi Koonji Aap Hi Ke Haath Men Hai.
Kaal Bhi Aap Ke Darr Se Darrta Hai.
Sarwa Brahmaand Aap Ki Hi
Aagya Paalan Karte Hain.
Jab Aap Kaal Ke Prabhu Ho
Tab Hamara Aap Ke Atirikta
Doosra Kya Sahara Hai.

HE NIRBHAI!
Jab Tak Aap Ka Satya Paarakh
Mere Hriday Men Waas Nahin Karta
Tab Tak Hum Kaal Ke Kartuton Ko
Jaan Nahin Sakte.
Tab Tak Use Jaan Kar Hum
Us Se Alag Nahin Hote,
Tab Tak Aapki Aagyaon Ka
Wirodh Karte Hain,
Tabhi Tak Humko Sarwa Prakaar Ka
Bhay Praapt Hota Hai.
Parantu Aap Daya Karo Ge
Tabhi Sarwa Bhay Se
Chhura Kar Nirbhay Kar Do Ge.

HE ANAND SINDHU!
Jab Tak Hamari Gyaan Shakti Mein
Aap Ke Paarakh Ka Prakash Nahin Hota
Tab Tak Hum Aap Ke Satya Swaroop Ko
Kis Prakaar Jaan Sake.
Jab Aap Daya Karo Ge
Apne Saar Asaar Wicharini Gyaan Shakti Ko
Prerna Kar Mujhe Apne Sharan Men Lo Ge
Tabhi Aap Ki Aagya Anusaar
Kaal Ke Jaal Ko Parakh Kar
Aap Ki Sharan Se Niraash Nahin Honge.

HE SATYA SINDHU!
Aisi Kripa Karo Jis Se Ki,
Sarwa Asatya Se Chhoot Kar
Aap Ko Hi Praapt Ho Jaoon.

HE PREM MAYEE!
Apne Kripa Kataaksh Duara Aisi Daya Karo Ki,
Aap Ke Satya Prem Mein Magan Ho Jaoon.

HE AMRIT MAYEE!
Aisi Daya Karo Jis Se
Aap Ki Amrit Roopi Agyaaon Par
Chalne Ki Hamein Shakti Ho.

HE SHANTI NIKET!
Aap Ki Kripa Se Atirikta Hum Us Sawbhagyata Ko
Kaise Praapt Ho Sakenge?
Jo Aap Ke Sachche Daas Ko Praapt Hota Hai.
Hum Kaise Bhi Hain Parantu Ab To Aap Ke Kahlate Hain,
Yadi Humko Satya Shanti Pradaan Na Karo Ge
To Aapki Hi Birad Lajjaai-maan Hogi.

HE PUNYA-MAI! HE SACHCHE BHRATA!
Humko Aisi Sumati Do
Jis Se Paraspar Ke
Wid-dwesh Ko Tyaag Kar
Aap Ki Sewa Mein Lag Jawe.

HE HANS-NAAYAK!
Apne Aise Hanso Ki Sangati
Mujhe Pradaan Karo
Jis Se Aap Ke Atirikta
Doosre Ki Vaasna
Hriday Se Uth Jaawe.

HE SATYA!
Asatya Se Bachaa Kar
Sarwadaa Satya Ki Or Le Jawo.
Awishwas Ke Jaal Se Nikaal Kar
Wishwas Aur Shraddha Ko Praapt Kara Do.
Aprem Se Bachakar
Prem-mayi Desh Mein Pahooncha Do.
Apawitra Se Nikaal Kar,
Pawitra Ko Dikha Do.
Swech-chha Chaaripanaa Se Nikaal Kar
Atyachaar Se Chhuraakar
Tumhari Ichha Aur Aagya Ke
Adhin Karke Sadachaari Bana Do.

HE KALYAAN-MAYEE
Akalyaan Ke Maarg Se Hata Kar
Kalyan Ke Raah Dikha Do.

HE SATYA GURU!
Andhkaarmai Desh Se Utha Kar
Prakashmai Desh Mein Daal Do.

HE SATYA-ACHAARYA!
Aap Ke Satya Dharm Satya Panth
Aur Aap Ke Sthaapit Achaarya Mein
Aisi Shraddha Do Jis Se Awnati Ke Bhawan Se Nikaal Kar
Satya-onniti Ki Sadak Par Charh Jaoon.

Hum Logo Ko Aisa Utsaah Aur Aisi Utkantha Do
Jis Se Aap Ki Aagyaon Ko Puran Karne,
Aap Ke Sthapit Satya Dharam Ko Phailane,
Aap Ke Satya Raaj Ki Mahima Pragat Kar
Apni Tatha Aur Dukhiyon Ki Atma Ko
Kaal Jaal Se Bachane Mein Samarth Howe.

Shanti ….. , Shanti ……, Shanti.